Ali Ka Wasf Aur Meri Zabaan Tauba Aray Tauba
Ali Ka Wasf Aur Meri Zabaan Tauba Aray Tauba
Ali ka wasf aur meri zabaan tauba aray tauba
Yeh musht-e-khaak aur un ka bayaan tauba aray tauba
Woh peshaani ke jis se bheek le kar chaand roshan ho
Main us ke wasf mein kholun zabaan tauba aray tauba
Woh lab jin ke tabassum se do alam jagmaga uthen
Kahan woh meh jabeen aur main kahan tauba aray tauba
Woh jin ke wastay dooba hua sooraj palat aaye
Pohanch sakti hai meri aqal waan tauba aray tauba
Woh jin ki madah khwani se lab-e-jibrail qaasir ho
Yeh Aazam aur un ka madah khwaan tauba aray tauba