Ali Haq Ali
Ali Haq Ali
Ali Haq Ali
Ali Haq Ali
Shahadat ko god tu ne liya
Mohabbat ki rasm tuj se chali
Ali Haq Ali
Bulandi-e-fikr, mansab tera
Har ek aayina madeb tera
Nigah-e-Rasool, maktab tera
Jo ilm un ke paas, wo sab tera
Wasi-ul-wasi, wali-ul-wali
Ali Haq Ali
Muhammad ka bhai, Sher-e-Khuda
Firasat nasab, sadaqat numa
Hamiat sipar, shujaat qaba
Hidayat gujar, shariat asa
Tariqat makan, tasawwuf gali
Ali Haq Ali
Raza aur sabr jada tera
Ghubaar-e-safar, libada tera
Amal ki tarah irada tera
Nigaahoon se dil kashaada tera
Tera shola lataafat kali
Ali Haq Ali
Dua-e-ghareeb ka hamsafar
Bigar'te naseeb ka charahgar
Wo Kaaba, Khuda ka wo pehla ghar
Padi us pe teri pehli nazar
Jahan teri pehli dhadkan jali
Ali Haq Ali
Talab ko shadeed tu ne kiya
Samaat ko deed tu ne kiya
Mujhe bhi mureed tu ne kiya
Karam ye mazeed tu ne kiya
Ke jaan, teri aahat'oon mein dhali
Ali Haq Ali