Kalams Page

Ali Ali Irfan Ka Dar Hai, Ali Goya Wali Gar Hai

Poet: Wasif Ali Wasif | Book: Shab-e-Raaz | Type: Manqabat

Ali Ali Irfan Ka Dar Hai, Ali Goya Wali Gar Hai


Ali Ali irfan ka dar hai, Ali goya wali gar hai
Ali masti ka sagar hai, Ali waris-e-paimbar hai

Durood un par salam un par Ali jin ka baradar hai
Ali tathir ka paikar Ali itrat ka shouhar hai

Ali ka naam Asad Allah Ali ka chehra wajh Allah
Yad Allah hai Ali Allah, Ali millat ka rehbar

Ali asl-e-shahadat hai, Ali sajdon ki azmat hai
Kahin Shabbir ka sajda, kahin sajde mein Shabar hai

Nabi khatam-e-nabuwat ka, Ali khatam-e-khilafat ka
Nabi ka kon hai hum sar, Ali ka kon hum sar hai

Ali ki shaan yaktai humein har ja nazar ayi
Kahin Marhab, kahin Khaibar, kahin nok-e-sinan sar hai

Nabi zat-e-noor Allah, Ali hai noor ka sheeda
Ali hai shahid-e-awla, Ali ka kaabe mein ghar hai

Main hun Wasif Ali ward-e-Ali hai mera afsana
Mujhe hai kam sajdon se Ali ke dar mera sar hai