Al-subhu Bada Min Tal'atihi
Al-subhu Bada Min Tal'atihi
Al-subhu bada min tal'atihi
Wal-laylu daja min wufratihi
Sahar taari hui hai aap ke maathay ki tal'at se
Yeh ronak raat ne paayi hai zulfon ki inayat se
Faaqa al-rusla fadlan wa'ala
Ahda al-subula li-dalalatihi
Buzurgi mein woh sabqat le gaye saare rusulon par
Ke raste deen ke roshan huwe un ki hidayat se
Kanz al-karam moulin-ni'am
Hadi al-umami li-shariatihi
Khazane bakhshishon ke rehmaton ke malik hain un ki
Hidayat yaab saari ummatain un ki shariat se
Azka al-nasab aala al-hasab
Kullu al-arabi fi khidmatihi
Nasab un ka hasab un ka bohot arfa, bohot aala
Sharaf paaya hai saare aalmon ne un ki khidmat se
Sa'at al-shajar natak al-hajar
Shaq al-qamar bi-isharatihi
Shajar khidmat mein aaye, pathron ne baat ki un se
Qamar shaq ho gaya un ki angusht-e-shahadat se
Jibreel ata laylah asraa
Wal-rab dua li-hadratihi
Shab-e-Miraj un ke paas Jibreel-e-Ameen aaye
Bulaya Rab ne un ko arsh par apni inayat se
Naala al-sharafa wal-llah afa
An ma salafa min ummatihi
Unhi ke wastay sab sharaf paaye hain logon ne
Gunah sab door farmaiye hain Rab ne un ki ummat ke
Fa-Muhammaduna huwa sayiduna
Wal-izzu lana li-ijabatihi
Humaare Sayyid o Maula Muhammad hain Muhammad hain
Ke izzat hai humaare wastay un ki ita'at se