Akhri Waqt Mein Kya Ronq-e Duniya Dekhoon
Akhri Waqt Mein Kya Ronq-e Duniya Dekhoon
akhri waqt mein kya ronq-e duniya dekhoon
ab to bas aik hi dhoon hai ke madinah dekhoon
az ufaq ta beh ufaq aik hi jaluwa dekhoon
jis taraf aankh uthay roudah-e wala dekhoon
aqibat meri sanar jaye jo tayba dekhoon
dast-e emrooz mein aaina farda dekhoon
mein kahan hoon, ye samajh loon to uthau nazrain
dil sanbhal jaye to mein janib-e khizra dekhoon
mein ne jin aankhon se dekha hai kabhi shehr-e nabi
aur un aankhon se ab kya koi jaluwa dekhoon
baad-e rehlet bhi jo Sarkar ko mehboob raha
ab un aankhon se mein khush bakht wo hujra dekhoon
faqr o faaqa hi raha jis ke makino ka naseeb
chashm-e ibrat se mein wo maskan-e zahra dekhoon
jaaliyan dekhoon ke dewar o dar o baam-e haram
apni mazur nigahon se mein kya kya dekhoon
mere maula meri aankhain mujhe wapas kar de
taki is bar mein jee bhar ke madinah dekhoon
jin gali kuchon se guzray hain kabhi mere huzoor
un mein ta had-e nazar naqsh-e kaf-e pa dekhoon
taki aankhon ka bhi ehsan uthana na paday
qalb khud aaina ban jaye mein itna dekhoon
kash iqbal yon hi umr basar ho meri
subah kabay mein ho aur shaam ko tayba dekhoon