Ajmer Bulaya Mujhe Ajmer Bulaya
Ajmer Bulaya Mujhe Ajmer Bulaya
Ajmer bulaya mujhe Ajmer bulaya
Ajmer bula kar mujhe mehman banaya
Ho shukar ada kaise ke mujhe papi ko Khwaja
Ajmer bula kar mujhe darbar dikhaya
Sultan-e-Madina ki muhabbat ka bhikari
Ban kar mein shaha! aap ke darbar mein aaya
Duniya ki hukumat do na daulat do na sarwat
Har cheez mili jaam-e-muhabbat jo pilaya
Kadmon se laga lo mujhe kadmon se laga lo
Khwaja hai zamane ne bara mujhe sataya
Dooba abhi dooba mujhe Lillah sanbhallo
Sailab gunahon ka bare zor se aaya
Ho chasma shafa ab to shaha! soye marizan
Asiyaan ke maraz ne hai bara zor dikhaya
Sarkar-e-Madina ka bana dijiye ashiq
Ye arz liye Shah Karachi se mein aaya
Ya Khwaja karam kijiye hoon zulmatein kafoor
Batil ne bare zor se sar apna uthaya
Attar karam hi se tere jam ke khada hai
Dushman ne girane ko bara zor lagaya