Kalams Page

Ajab Sarur-e-Sada Uska Dhiyan Deta Hai

Poet: Muzaffar Warisi | Book: Ummi Laqbi | Type: Naat

Ajab Sarur-e-Sada Uska Dhiyan Deta Hai


Ajab sarur-e-sada uska dhiyan deta hai
Bilal kaabe mein goya azan deta hai

Jalaaye dhoop mujhe jab mere gunahon ki
Darood abbr ki chadar si taan deta hai

Meri talab hai usi ke karam se wabasta
Jo aik waqt mein dono jahan deta hai

Zahe naseeb moyassar hai uska pyar mujhe
Jo dushmanon ko bhi apne amaan deta hai

Nishan-e-pa bhi hain uske urooj ka zeena
Zameen nasheen ko woh aasman deta hai

Kare shikaar jo dil ko baghair teeron ke
Usi ke haath mein apni kamaan deta hai

Jo apne pait se faaqon mein bandh kar pathar
Za'eef ko bhi irade jawan deta hai

Karun jo yaad use sab kasafaten mit jayein
Khayaal uska aqeeday ko chhaan deta hai

Mere kalaam ko shohrat bhi de raha hai wohi
Jo pathron ko Muzaffar zabaan deta hai