Kalams Page

Ahl-e-Nazar Ki Aankh Ka Tara Aliؑ Ali

Poet: Muhammad Azam Chishti | Book: Kuliyat-e-Azam Chishti | Type: Manqabat

Ahl-e-Nazar Ki Aankh Ka Tara Aliؑ Ali


Ahl-e-nazar ki aankh ka tara Aliؑ Ali
Ahl-e-wafa ke dil ka sahara Aliؑ Ali

Rehmat ne le liya mujhe aaghosh-e-noor mein
Main ne kabhi jo roke pukara Aliؑ Ali

Ek kaif ek suroor sa rehta hai raat din
Jab se hua hai dard hamara Aliؑ Ali

Ka'be ke but giraye nahi apne hath se
Hazrat ne muskura ke pukara Aliؑ Ali

Duniya mein sab se aala gharane ke noor ho
Is wastay hai naam tumhara Aliؑ Ali

Aazam ye maghfirat ki sanad hai hamare paas
Hum hain Aliؑ ke aur hamara Aliؑ Ali