Aghr Alaihi Linubuwatah Khatam
Aghr Alaihi Linubuwatah Khatam
Aghr alaihi linubuwatah khatam
Min Allah mashhood, yalooh wa yashhed
Aap (S.A.W.) par mehr-e-nubuwat darakhshah hai. Allah ki taraf se daleel chamakti hai aur gawahi deti hai
Wazam al ilah ism al-nabi ila ismah
Iz qala fil khams almuazin ash'had
Allah ne apne Nabi (S.A.W.) ka naam apne naam se marboot kar diya is liye muzin pancho waqat azan mein ashhad kahta hai
Wa shaq lahu min ismah lijlah
Fazu al-arsh Mahmood wa haza Muhammad
Allah ne apne naam se apne paighambar ka naam nikala arsh wala Mahmood [Khuda] hai aur ye Muhammad (S.A.W.) hain
Nabi atana baad yasin wa fatrat
Man la rashal wla wa San fi al-arz ta'bud
Ye aise Nabi (S.A.W.) hain jo na umeedi aur anbiya ke silsila e basat ke taweel waqfe ke baad hum tak aaye hain aur us waqt aaye jab zameen par buton ki parastish ho rahi thi
Faamsa siraj mustaneera wa hadiya
Yalooh kama laha alsaqeel al-muhnad
Ye ek roshan chiragh, raushni dene wale aur hadii bankar aaye. Jinki chamak aisi hai jaise Hindi talwar chamakti hai
Wa anzarana nara wa bashar jannatah
Wa allamna al-salam fallahu tuhmad
Hamein jahannum se daraaya, jannat ki basharat di, Islam sikhaya. Pas Allah hi hai jiski hum hamd karte hain
Wa anta ilah al-khalq rabbi wa khaliqi
Bizalik ma umirt fi al-naas ash'had
Aur saari makhluq ka mabood mera Rab aur Khaliq hai. Hum zindagi bhar is ki shahadat dete rahenge
Ta'alait rab al-naas min qawl man da'a
Siwaka ilaha anta a'la wa amjad
Sare jahan ke Rab. Teri shan badi hai aur tu buland hai us shakhs ke qawl se jo tere siwa kisi ko pukarta hai. Tu bahut buland aur baraaiyon wala hai
Lak al-haqq wa al-nima' wa al-amr kullah
Baiyyaaka nastahdi wa iyyaaka na'bud
Hayat bakhshi aur nafe rasani aur saari hukumrani sirf teri hai. Hum tujhi se hidayat khwah hain aur teri hi ibadat karte hain