Agar Nad-e-Ali Parhne Ki Rasm Ijaad Ho Jaye
Agar Nad-e-Ali Parhne Ki Rasm Ijaad Ho Jaye
agar nad-e-Ali parhne ki rasm ijaad ho jaye
to har seenay mein ek taza Najaf abad ho jaye
lab-e-Haider ki janbish par kaha tauheed ne aksar
hamare haq mein bhi khutba koi Irshad ho jaye
na Kabe par chadhai ho na ujrhe Babri Masjid
Musalmanon ko "dars-e-ya Ali (a.s.)" gar yaad ho jaye
agar ahl-e-watan nam-e-Ali lekar badein Mohsin
mera imaan hai Kashmir tak aazad ho jaye