Ae Shah-e-har Zamaan Yaani Fakhr-e-bayaan
Ae Shah-e-har Zamaan Yaani Fakhr-e-bayaan Tu Imaan Jahaan Kya Teri Shan Hai
Ae Shah-e-Har Zamaan yaani Fakhr-e-Bayaan tu Imaan Jahaan kya teri shan hai
Be-zubaan ki zubaan yaani Ilm-e-Nahaan tu yaqeen be-gumaan kya teri shan hai
Har taraf jalwa gar tera faiz-e-nazar tu hi Noor-ul-Basr, kya teri shan hai
Ae ke Ganj-e-Hunar, yaani Bab-ul-Khabar, tu Ajab Raazdaan kya teri shan hai
Tere dar se mili chaand ko roshni, adna zarron ko sozish tapish mil gayi
Jis taraf bhi nigah-e-kar ho gayi, ho gaya Shah e Jahan kya teri shan hai
Awliya-e-jahaan tujh ko manain wali, tu ne bakhshi inhein dilbari sarvari
Wird tera karein Ya Ali Ya Ali, tu nishan be nishan kya teri shan hai
Ek Sarmad hi kya tera Mansoor hai, Saber-e-Ba Safa tera hi noor hai
Bu Ali Shahbaazi ka dastoor hai, tu fasih-ul-bayaan kya teri shan hai
Raaz saaz ana Haqq tera naam hai, teri thokar se bharta har ek jaam hai
Bas qalanderi gari tera hi kaam hai, tu hama arifaan kya teri shan hai
Tu jhukay aasman jhuk ke sajda kare, tu uthe to zameen uthe tazeem se
Sar-e-nigoon Bab-e-Khabar hai ke zarbe se tu Yadullah aayaan kya teri shan hai
Tere kadmon mein Wasif ko masti mili, tere faiz karam se hua hai wali
Kis ko himmat ke is ko kahe kuch koi, ho gaya jaan-e-jaan kya teri shan hai