Kalams Page

Ae Shafi-e-Umam Shah-e-Zi Jaah Le Khabar

Poet: Ahmed Raza Khan Barelvi | Book: Hadaiq-e-Bakhshish | Type: Naat

Ae Shafi-e-Umam Shah-e-Zi Jaah Le Khabar


Ae shafi-e-umam shah-e-zi jaah le khabar
Lillah le khabar meri lillah le khabar

Darya ka josh, nao na beDa na nakhuda
Main dooba, tu kahaan hai mire shah le khabar

Manzil kaRi hai raat andheri main nabelad
Ae khizr le khabar meri ae mah le khabar

Pohanchay pohanchne wale to manzil magar shaha
Un ki jo thak ke baiThe sar-e-rah le khabar

Jangal darindon ka hai main be yar shab qareeb
Gheere hain chaar samat se badkhwah le khabar

Manzil nai aziz juda log nashanas
Tuta hai koh-e-gham main parikah le khabar

Woh sakhtiyan sawal ki woh sooratein moheeb
Ae ghamzadun ke haaal se aagah le khabar

Mujrim ko bargah-e-adalat main laaye hain
Takta hai be kisi main tiri rah le khabar

Ahl-e-amal ko un ke amal kaam aayenge
Mira hai kaun tire siwa aah le khabar

Pur khar rah, barhna pa, tishna aab door
maula paRi hai aafat-e-jankah le khabar

Baahar zubanein pyaas se hain , aafatab garm
Kausar ke shah katharahu Allah le khabar

Mana ke sakht mujrim o nakara hai raza
Tira hi to hai banda-e-dargah le khabar