Kalams Page

Ae Sabz Gunbad Walay Manzoor Dua Karna

Poet: Sabir Sabiri | Book: Unknown | Type: Naat

Ae Sabz Gunbad Walay Manzoor Dua Karna


Ae sabz gunbad walay manzoor dua karna
Jab waqt-e-niza aae deedaar ata karna

Ae noor-e-Khuda aakar aankhon mein sama jaana
Ya dar pe bula lena ya khwab mein aa jaana

Ae parda nasheen dil ke parda mein raha karna
Jab waqt-e-niza aae deedaar ata karna

Mein qabr andheri mein ghabraon ga jab tanha
Imdaad ko meri tum aa jana Rasool Allah ﷺ

Roshan meri turbat ko lillah zara karna
Jab waqt-e-niza aae deedaar ata karna

Chehray se ziya payi un chaand sitaron ne
Us dar se shifa payi dukh dard ke maaron ne

Aata hai un mein sabir har dukh ki dua karna
Jab waqt-e-niza aae deedaar ata karna