Ae Rasool Ameen Khatam Al Mursaleen, Tujh Sa Koi Nahi Tujh Sa Koi Nahi
Ae Rasool Ameen Khatam Al Mursaleen, Tujh Sa Koi Nahi Tujh Sa Koi Nahi
Ae Rasool Ameen Khatam al Mursaleen, tujh sa koi nahi tujh sa koi nahi
Hai aqeedah ye apna ba sadaq o yaqeen, tujh sa koi nahi tujh sa koi nahi
Dast e qudrat ne aisa banaya tujhe, jumla ausaf se Khud sajaya tujhe
Ae azal ke haseen ae abad ke haseen, tujh sa koi nahi tujh sa koi nahi
Bazm e kounain pehle sajai gayi, phir teri zaat manzar pe laai gayi
Syed al awwaleen Syed al aakhireen, tujh sa koi nahi tujh sa koi nahi
Tera sikka rawaan kal jahan mein hua, is zameen mein hua aasmaan mein hua
Kya arab kya ajam sab hai zeere nageen, tujh sa koi nahi tujh sa koi nahi
Tere andaaz mein wasatein farsh ki, teri parwaaz mein rufatein arsh ki
Tere anfaas mein khuld ki yasmeen, tujh sa koi nahi tujh sa koi nahi
Sidratal Muntaha reh guzar mein teri, qaab e qausain gird safar mein teri
Tu hai Haq ke qareen Haq hai tere qareen, tujh sa koi nahi tujh sa koi nahi
Kahkashan zo tere sarmadi taaj ki, zulf tabaan haseen raat e mi'raaj ki
Lailatul Qadr teri munawwar jabeen, tujh sa koi nahi tujh sa koi nahi
Mustafa Mujtaba teri madah o sana, mere bas mein nahi dastaras mein nahi
Dil ko himmat nahi lab ko yaara nahi, tujh sa koi nahi tujh sa koi nahi
Koi batlayae kaise saraapa likhun, koi hai wo ke mein jis ko tujh sa kahun
Tobah tobha nahi koi tujh sa nahi, tujh sa koi nahi tujh sa koi nahi
Chaar yaron ki shaan jali hai bhali, hain ye Siddique Farooq Usman Ali
Shaahid e ‘Adl hain ye tere ja-nasheen, tujh sa koi nahi tujh sa koi nahi
Ae saraapa nafees anfus do jahan, Sarwar-e-dilbaran dilbar-e-‘ashiqaan
Dhoondhti hai tujhe meri jaan hazine, tujh sa koi nahi tujh sa koi nahi