Ae Khuda e Jamal O Zebai
Ae Khuda-e-jamal O Zebai
Ae Khuda-e-jamal o zebai
Khoob hai teri alam aarai
Tu kahan hai kahan nahi hai tu
Mahw-e-hairat hai taab-e-goiai
Sab mein mojood aur sab se juda
Kaun samjhe yeh raaz-e-tanhai !
Para para qabai-e-istadlal
Reza reza hai daam-e-joiai
Kya nazar aaye maaswa ka jahan
Dekh kar teri shan-e-yaktai
Yaas mein gham mein aur mushkil mein
Teri rehmat hi sab ke kaam aai
Aazim is naam se hai gulshan mein
Zindagi taazgi o ranai