Kalams Page

Ae Khawar-e-Hijaaz Ke Rakhshanda Aaftaab

Poet: Zafar Ali Khan | Book: Unknown | Type: Naat

Ae Khawar-e-Hijaaz Ke Rakhshanda Aaftaab


Ae khawar-e-hijaaz ke rakhshanda aaftaab
Subah azl hai teri tajalli se faiz yaab

Zeent azl ki hai tu hai ronak abad ki tu
Dono me jalwa reez hai tera hi rang o aab

Chuma hai qudsiyon ne tere aastane ko
Thami hai aasman ne jhuk kar teri rukaab

Shaayaan hai tujh ko sarwar-e-konain ka laqab
Naazaan hai tujh pe rehmat-e-darain ka khitaab

Barsa hai sharq o gharb pe abr-e-karam tera
Aadam ki nasal par tere ehsaan hain be hisaab

Paida hui na teri moakhaat ki nazeer
Laaya na koi teri masavaat ka jawab

Khair-ul-bashar hai tu, tu hai khair-ul-umam wo qoum
Jis ko hai teri zaat-e-garaami se intisaab

Yasrab ke sabz poday se bahir nikal kar
Dono dua ke hathon ba-sad karb o iztiraab

Duniya ke goshe goshe mein hai, garchay aaj kal
Ummat teri raheen sitam haaye be hisaab

Haq se ye arz kar ke tere na-saza ghulaam
Uqba mein surkhro hon to duniya mein kaamyaab