Ae Khatam Rusal Makki Madani Konain Mein Tum Sa Koi Nahin
Ae Khatam Rusal Makki Madani Konain Mein Tum Sa Koi Nahin
Ae khatam rusal makki madani konain mein tum sa koi nahin
Ae noor e mujassim tere siwa mehboob e khuda ka koi nahin
Ausaf to sab ne paye hain par husn sarapa koi nahin
Adam se janab e Esa tak sarkar ke jaisa koi nahin
Ye shan tumhari hai aaqa tum arsh e bareen par pohanchay ho
Zeeshan nabi hain sab lekin me'raj ka dolha koi nahin
Dil kis ko dikhayen cheer ke hum isyan ka madawa kaun kare
Ae rehmat e aalam tere siwa dukhiyon ka maseeha koi nahin
Khairat e Muhammad se paakar is naz se kehte hain mangtay
Dukhiyon pe karam karne wala sarkar se achha koi nahin
Maalik hain woh dono aalam ke har zarra munawwar hai in se
Tanweer e mujassim syed e kul aaqa ke ilawa koi nahin
Ho jaye agar ik chashm e karam, mahshar mein fana ki laaj rahe
Ae shaf’e mahshar tere siwa bakhshish ka waseela koi nahin