Kalams Page

Ae Khaak-e-Madina ! Tera Kehna Kya Hai

Poet: Ilyas Attar Qadri | Book: Wasaail-e-Bakhshish | Type: Naat

Ae Khaak-e-Madina ! Tera Kehna Kya Hai


Ae khaak-e-Madina ! tera kehna kya hai
Tujhe qurb-e-Shah-e-Madina mila hai
Sharaf Mustafa ke qadum choomne ka
Tujhe barha khaak-e-Tayba mila hai

Muattar hai kitni tu khaak-e-Madina
Ke khushboo'on se zarra zarra basa hai
Laga'o tum aankhon mein khaak-e-Madina
Koi is se behtar bhi surma bhala hai !

Mareezo! uthakar ke khaak-e-Madina
Ko le jao! is mein yaqeenan shifa hai
Madine ki mitti zara si uthakar
Piyo ghol kar har maraz ki dawa hai

Aqeedat se khaak-e-Madina badan par
Malo tum har ik dard ki yeh dawa hai
Tujhe wasita khaak-e-Tayba ka yarab!
Ata kar gham-e-Mustafa iltija hai

Humein maut khaak-e-Madina par aaye
Ilahi! yeh tujh se hamari dua hai
Meri na'ash par aap khaak-e-Madina
Chhidakna mere sathiyo! iltija hai

Pas-e-marg Maula tu mitti hamari
Mila khaak-e-Tayba mein yeh iltija hai
Badan par hai Attar ke khaak-e-Tayba
Pare hat Jahannum tira kaam kya hai