Ae Kash! Shab-e-Tanhai Mein, Furqat Ka Alam Tarpaata Rahe
Ae Kash! Shab-e-Tanhai Mein, Furqat Ka Alam Tarpaata Rahe
Ae kash! Shab-e-tanhai mein, furqat ka alam tarpaata rahe
Lamha lamha ulfat ki aag ko aur bhi tu bharakata rahe
Be taab jigar, qalb-e-muztar, de deeje sarwar! chashme tar
Har waqt bharoon thandi aahein, gham tera khoon rulata rahe
Be chain rahoon be taab rahoon, main hichkiyan band ke roota rahoon
Ye zauq-e-junoon barhta hi rahe, har dam ye mujh ko rulata rahe
Main ishq mein yoon gum ho jaoon, har giz na pata apna paaon
Jab jab main tadap kar gir jaoon, tira dast-e-inayat uthata rahe
Jab aaon Madine rota hua, ho samne jab roza tera
Chehre se naqaab uth jaaye aur tu jaam-e-deed pilata rahe
Be kas hoon shaha! Main dukhara, logon ne mujhe hai dhutkara
Tu hamdam hai phir kya gham hai, go sara jahan thukrata rahe
Sad shukar khudaya tu ne diya, hai rahmat wala woh aaqa
Jo ummat ke ranj o gham mein, raton ko ashk bahata rahe
Jab garmi-e-hashr ho zoron par, us waqt tamanna hai sarwar!
Hum pyaas ke maaron ko Kausar, ke jaam pe jaam pilata rahe
Hai meri tamanna rab-e-jahan, har khurd o kalan har aik jawan
Har "Dawat-e-Islami" wala, sunnat ka alam lehraata rahe
Hai tujh se dua rab-e-akbar! Maqbool ho "Faizan-e-Sunnat"
Masjid masjid ghar ghar parh kar, Islami bhai sunata rahe
Jab mera yaar hai sarwar, phir dar ma’shar ka ho kiyon kar!
Woh hash’r mein ruswa kaise kare jo aib yahan pe chupata rahe
Jab tan se juda ho jaan muztar us waqt ho jalwa presh-e-nazar
Ho qabr mein bhi saya guster, tu meethi neend sulata rahe
Yarab! Ye dua Attar ki hai jis waqt talak dunya mein jiye
Mehboob ki sunnat aam kare, ye danka deen ka bajaata rahe