Kalams Page

Ae Kaash Ke Aa Jaye Attar Madine Mein

Poet: Ilyas Attar Qadri | Book: Wasaail-e-Bakhshish | Type: Naat

Ae Kaash Ke Aa Jaye Attar Madine Mein


Ae kaash ke aa jaye Attar Madine mein
Bulwa lo Khudaara! Ab Sarkar Madine mein

Kab tak main phiroon dar dar marne bhi do ab Sarwar!
Dahleez pe sar rakh kar Sarkar Madine mein

Roze ke qareeb aakar gir jaoon main ghash khaakar
Ho jaye tumhara phir deedaar Madine mein

Roti hui aankhon se betaab nigaahon se
Ho Gunbad-e-Khazra ka deedaar Madine mein

Duniya ke ghamon ki tum Lillah dawa de do
Bulwa ke gham apna do Sarkar Madine mein

Mil jaye shifa usko Darbaar-e-Muhammad se
Aa jaye jo koi bhi beemaar Madine mein

Ho “Dawat-e-Islami” ki dhoom machi har soo
Tarkeeb ho markaz ki Sarkar Madine mein

Thehro ge shafa’at ke haqdaar yaqeenan tum
Aa jao gunehgaaro! Ik baar Madine mein

Ikhlaas ata kar do aur khulq bhala kar do!
Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein

Be-ja na hansi aaye sanjeeda bana deeje
Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein

Allah ki ulfat do aur apni muhabbat do
Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein

Betaab jigar de do aur aankh bhi tar de do
Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein

Is 'nafs-e-sitamgar' ko qaabu mein mere kar do!
Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein

Duniya ki muhabbat se dil paak mera kar do
Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein

Rona bhi sikha do aur sikha do tarapna bhi
Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein

Aankhon mein sama jao seene mein utar aao
Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein

Jalwon se dil-e-veeraan aabaad karo Jaana
Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein

Sagg apna mujhe keh do, qadamoon mein mujhe rakh lo
Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein

Qadmon se laga lo tum deewana bana lo tum
Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein

Qismat meri chamka do, turbat meri banwa do
Bulwa ke Shahenshah-e-Abrar Madine mein

Ramzan ki bahaaren ho, Tayba ki fazaayein ho
Aur jhoomta phirta ho Attar Madine mein