Ae Biyaban-e-Arab Teri Baharon Ko Salaam
Ae Biyaban-e-Arab Teri Baharon Ko Salaam
Ae biyaban-e-Arab teri baharon ko salaam
Tere phoolon ko tere pakeeza kharon ko salaam
Jabal-e-Noor o Jabal-e-Saur aur un ke ghaaroon ko salaam
Noor barsate paharon ki qataron ko salaam
Jhoomte hain muskurate hain mugheelaan-e-Arab
Khoobsurat waadiyon ko regzaaron ko salaam
Raat din rehmat barasti hai jahan par jhoom kar
Un tawaaf-e-Kaaba ke rangeen nazaron ko salaam
Ishq mein deewar-e-Kaaba se jo lipte hain wahan
Un sabhi deewanon saare beqaararon ko salaam
Hajr-e-Aswad, baab o mizaab o maqaam o multazim
Aur ghilaaf-e-Kaaba ke rangeen nazaron ko salaam
Mustajaar o mustajaab o beir-e-Zam Zam aur mataaf
Aur Hateem-e-paak ke donon kanaron ko salaam
Rukn-e-Shaami o Iraqi o Yemani ko bhi aur
Jagmagaate noor barsaate manaaron ko salaam
Jo musalmaan khana-e-Kaaba ka karte hain tawaaf
Un ko bhi aur saare hi sajda guzaaron ko salaam
Khoob choome hain qadam Saur o Hira ne Shah ke
Mehke mehke pyaare pyaare donon ghaaron ko salaam
Madni munnon ka bhi hamla khoob tha bojahl par
Badr ke un donon nanhe jaan nisaroon ko salaam
Jagmagaate gunbad-e-Khazra pe ho rehmat mudaam
Masjid-e-Nabwi ke noorani manaaron ko salaam
Minbar o mehrab-e-jaan aur sunehri jaaliyan
Sabz gunbad ke makeen ko donon pyaaron ko salaam
Syedi Hamza ko, aur jumla shaheedan-e-Uhud
Ko bhi aur sab ghaaziyon ko shahsawaaron ko salaam
Jis qadar jinn o bashar mein the sahaaba Shah ke
Sab ko bhi beshak khusoosan chaar yaaron ko salaam
Jis jagah par aake soye hain sahaaba das hazaar
Us Baqi-e-paak ke saare mazaaron ko salaam
Shoq-e-deedaar-e-Madina mein tadapte hain jo, un
Beqaararon, dil figaron, ashkbaron ko salaam
Ghusl-e-Kaaba ka bhi manzar kis qadar pur kaif hai
Jhoom kar kehta hai Attar in nazaron ko salaam