Ae Arab Ke Taajdaar, Ahlan Wa Sahlan Marhaba
Ae Arab Ke Taajdaar, Ahlan Wa Sahlan Marhaba
Ae Arab ke Taajdaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Ae Rasool-e-Zi Waqaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Aaye Shah-e-Naamdaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Sab Pukaro Baar Baar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Ae Habeeb-e-Kirdigaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Ae Khuda ke Shahkaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Aamina ke Gul-e-Izaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Ae Hamare Shehriyaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Anbiya ke Taajdaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Tayba ke Naqa Sawaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Behr-e-Ummat Ashkbaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Shaafi'e Roz-e-Shumaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Rehmat-e-Parwardigaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Haq ke tum Aaeenadaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Apne Rab ke Raazdaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Ghaib tum par Aashkaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Ya Sheh-e-Aali Waqaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Badshah-e-Naamdaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Ghamzadoon ke Ghamgusar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Beqaaron ke Qaraar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Do Jahan ke Taajdaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Sarwar-e-BaIkhtiyaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Marham-e-Qalb-e-Figaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Mera Bigra Dil Sanwaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Izzat-e-Ruswa-o-Zaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Quwwat-e-Zaar-o-Nazaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Noor ki Barasi Phuwaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Aaya Har Shay par Nikhaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Kar Munawwar Qalb-e-Taar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Door ho Dil ka Ghubaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Sab se Barh Kar Kaamgaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Baais-e-Baagh-o-Bahaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Jalwa Kar De Aashkaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba
Ho Fida Attar-e-Zaar, Ahlan wa Sahlan Marhaba