Adam Se Laai Hasti Ko Aarzoo'e Rasool
Adam Se Laai Hasti Ko Aarzoo'e Rasool
Adam se laai hasti ko aarzoo'e Rasool
Kahan kahan liye phirti hai jastju'e Rasool
Khushha wo dil ke ho jis dil mein aarzoo'e Rasool
Khushha wo aankh ho jo mahv husn roo'e Rasool
Talash naqsh kaf paye Mustafa ki qasam
Chune hain aankhon se zarraat khaak boo'e Rasool
Phir un ka nasha irfaan ka poochhna kya hai
Jo pi chuke hain azal mein mai'e saboo'e Rasool
Balain loon teri ae jazb-e-shauq salli ala
Ke aaj daaman khich raha hai soo'e Rasool
Shagufta gulshan-e-Zahra ka har gul tar hai
Kisi mein rang Ali aur kisi mein boo'e Rasool
Ajab tamasha ho maidan-e-mahshar mein Baidam
Ke sab hon paish Khuda aur main barru'e Rasool