Adab! Sarwar-eؐ Murslanؐ Aarahae Hain
Adab! Sarwar-eؐ Murslanؐ Aarahae Hain
Adab! Sarwar-eؐ Murslanؐ aarahae hain
Risalat ke raoh rwan aarahe hain
Basd azmat o izz o shaan aarahe hain
Jilo mein liye qudsian aarahe hain
Shehenshaؐh-e kaum o makaan aarahe hain
Yahi zikar hai aaj aik aik ghar mein
Sitron mein, ghunchon mein, gul mein, guhar mein
Yahi dhoom hai har taraf bahr o bar mein
Mitane ko har shar libas-e bashar mein
Shehenshah-eؐ kaum o makaan aarahe hain
Bujhe kufr o ilhaad ke sab sharare
Larazta hai iblis dahshat ke maare
Sehar dam yeh karti hain kiranen ishaare
Khuda ke dularay, khudai ke pyare
Shehenshaؐh-e kaum o makaan aarahe hain
Bhusn-e nabvat, bshan-e risalat
Srapa tajali mujassam anat
Sahab-e karam, salsabil-e shafaat
Beh sadr rifat o rehmat o rshd o raafat
Shehenshaؐh-e kaum o makaan aarahe hain
Manazir tajali ke hain kuch ajab se
Faza jagmaga kar yeh kehti hai sab se
Manawwar zameen hogi maah-e arab se
Malaik hain saf basta har soo adab se
Shehenshah-eؐ kaum o makaan aarahe hain
Zahay khush naseebi, zahay kamgaari
Chamakne ko hai aaj qismat hamari
Nazar muntazir, dil fida, jaan wari
Wo aai, wo aai wo aai sawari
Shehenshah-eؐ kaum o makaan aarahe hain
Yeh subhah-e massrat hai khushiyan manao
Durood o salam apne honton pe lao
Muhammadؐ ke jalwon pe qurban jao
Adab se Naseerؔ apni apni aankhen jhkao
Shehenshaah-eؐ kaum o makaan aarahe hain