Kalams Page

Ab Karam Ya Mustafa Farmaayiye

Poet: Ilyas Attar Qadri | Book: Wasaail-e-Bakhshish | Type: Naat

Ab Karam Ya Mustafa Farmaayiye


Ab karam ya mustafa farmaayiye
i'zn, taiba ka ata farmaayiye

yahabib-e-kibriya hij ka sharaf
ab ata ik martaba farmaayiye

hazri ki ab sa'adat paaun main
kuch karam aisa shahaa farmaayiye

khwab main aake kuch sheereen kalam
meethe meethe mustafa farmaayiye

jin pe sadqe jayein sab jannat ke phool
un labon ko ab to wa farmaayiye

yarasool Allah meri maghfirat
ho khuda se ye dua farmaayiye

istiqat deen par hum ko ata
azpay ghauth wa raza farmaayiye

kab tak tadpein aseeran-e-qafas
qayd-e-gham se ab reha farmaayiye

aap ki ulfat main ho rona naseeb
mujh ko chashm nam ata farmaayiye

dur piyaare mustafa ranj wa balaa
az tufail-e-murtaza farmaayiye

aap ke qadmon main ho jaaun shaheed
kuch sabab aisa shahaa farmaayiye

mujh ko lillah ik chhalakta saqia
jaam, kausar ka ata farmaayiye

apne aasi ki shafaat hash'r main
shafi'e roz-e-jaza farmaayiye

madni burqa pahnein sab bahanen, karam
fatima ka waasta farmaayiye

mah-e-meelaad aagaya ghar ghar par ab
nasb parcham sab hara farmaayiye

eid-e-meelad-un-nabi phir aa gayi
shukr ka sajda ada farmaayiye

eid ayi eid, eidon ki bhi eid
uthiye samaan jashn ka farmaayiye

jhoom kar saare khushi se bar bar
"marhaba ya mustafa" farmaayiye

"yaraasool Allah" kahiye zor se
shaq jigar iblees ka farmaayiye

gunbad khizra ke jalwe hon naseeb
ye karam ya mustafa farmaayiye

dijiye dard-e-madina dijiye
ye karam ya mustafa farmaayiye

mera seena ho madina yanabi
ye karam ya mustafa farmaayiye

dijiye soaz-e-raza soaz-e-zia
ye karam ya mustafa farmaayiye

naimat-e-akhlaq kar dije ata
ye karam ya mustafa farmaayiye

gheebat wa chughli ki aafat se bachain
ye karam ya mustafa farmaayiye

hum riyaakaari se bachtein hi rahain
ye karam ya mustafa farmaayiye

nafas wa shaitaan ki sharaarat dur ho
ye karam ya mustafa farmaayiye

dam labon par aagaya attar ka
ab qadam ranjha shahaa! farmaayiye