Aaya Hai Bulawa Phir Ik Bar Madine Ka
Aaya Hai Bulawa Phir Ik Bar Madine Ka
Aaya hai bulawa phir ik bar madine ka
Phir ja ke mein dekhun ga darbar madine ka
Gulshan se haseen tar hai kohsar madine ka
Be misal jahan mein hai gulzar madine ka
Mein phool ko choomunga aur dhool ko choomunga
Jis waqt karun ga mein didar madine ka
Aankhon se lagalun ga aur dil mein basalun ga
Seene mein utarun ga mein khar madine ka
Seene mein madina ho aur dil mein madina ho
Aankhon mein bhi ho naqsha Sarkar! Madine ka
Lati hai sar-e-baleen rehmat ki ada un ko
Jis waqt tarapta hai bimaar madine ka
Rote hain jo deewane be taab hain mastane
Un sab ko dikha dije darbar madine ka
Rota hai jo raaton ko ummat ki muhabbat mein
Woh shafi'e-mahshar hai sardar madine ka
Raaton ko jo rota hai aur khaak pe sota hai
Gham khwar hai, saada hai mukhtar madine ka
Qabze mein do aalam hain par haath ka takiya hai
Sota hai chatai par sardar madine ka
Dukh dard jahan bhar ke sab door shaah karke
Mujh ko to bana lije bimaar madine ka
Is dar ke bhaikaari ki jholi mein do aalam hain
Shahon se bhi barh kar hai nadaar madine ka
Maqbool jahan bhar mein ho ‘’Dawat-e-Islami’’
Sadaqa tujhe ae Rabb-e-Ghaffar! Madine ka
Taqdeer chamak uthe qismat hi to khul jaye
Ban jaye jo adna sag, Attar madine ka