Aarzoo Kis Ki Karun Un Ki Tamana Chhor Kar
Aarzoo Kis Ki Karun Un Ki Tamana Chhor Kar
Aarzoo kis ki karun un ki tamana chhor kar
Kis ke dar par jakar parun dar Mustafa ka chhor kar
Jab madadaye gham asiyaan hai zikr Mustafa
Kyun kisi ka rukh karun aisa Maseeha chhor kar
Un se door hai andhera qurb un ka roshni
Jaayein kyun tareekiyon mein yeh ujla chhor kar
Paa nahin sakta koi Mahshar ki garmi ke din
Rehmat konain ke daman ka saaya chhor kar
Tishna lab seirab ho sakte hain nahi Mahshar ke din
Sarwar konain ki rehmat ka darya chhor kar
Woh mile to mil gayin dono jahan ki ni'matein
Hum na jaayein ge kahin bhi un ka koocha chhor kar
Hum jo mar jaate Madine toh hote khush naseeb
Haaye hum kyun aage aye ya Rab Madina chhor kar
Kaash bar aaye Ilahi aarzoo e dil meri
Un se wabasta rahun mein sari duniya chhor kar
Jab gawara un ko mera dukh nahin aye Riaz
Kyun pukarun phir kisi ko aisa aaqa chhor kar