Aariz-e-Shams O Qamar Se Bhi Hain Anwar Eeriyan
Aariz-e-Shams O Qamar Se Bhi Hain Anwar Eeriyan
Aariz-e-shams o qamar se bhi hain anwar eeriyan
Arsh ki aankhon ke taare hain woh khushtar eeriyan
Ja baja partaw fagan hain aasmaan par eeriyan
Din ko hain khursheed, shab ko maah o akhtar eeriyan
Najm-e-gardoon to nazar aate hain chhotay aur woh paaon
Arsh par phir kyun na hon mehsoos laaghar eeriyan
Dab ke zair-e-paa na gunjaish simaane ko rahi
Ban gaya jalwa kaf-e-paa ka ubhar kar eeriyan
Un ka mangta paaon se thukra de woh duniya ka taaj
Jis ki khaatir mar gaye mun’im ragad kar eeriyan
Do qamar, do panja-e-khur, do sitaare, das hilaal
Un ke talwe, panje, naakhun, paaye athar eeriyan
Haaye is pathar se is seena ki qismat phooriye
Be-takalluf jis ke dil mein yun karein ghar eeriyan
Taaj-e-Ruh-ul-Quds ke moti jise sajda karein
Rakhti hain wallah woh paakeeza gohar eeriyan
Ek thokar mein Uhud ka zalzala jaata raha
Rakhti hain kitna waqaar Allahu Akbar eeriyan
Charkh par charhtay hi chaandi mein siyaahi aa gayi
Kar chuki hain Badr ko taksaal baahar eeriyan
Ae Raza toofan-e-mahshar ke talaatum se na dar
Shaad ho! hain kashti-e-ummat ko langar eeriyan