Kalams Page

Aap Ki Nisbat Ae Nanay-e-Hussain

Poet: Ilyas Attar Qadri | Book: Wasaail-e-Bakhshish | Type: Naat

Aap Ki Nisbat Ae Nanay-e-hussain


Aap ki nisbat ae nanay-e-Hussain
Hai badi daulat ae nanay-e-Hussain

Door kar furqat ae nanay-e-Hussain
Apni de qurbat ae nanay-e-Hussain

Mar ke bhi nikle na mere qalb se
Aap ki ulfat ae nanay-e-Hussain

Ghar chhute ya sarkate par gum na ho
Deen ki daulat ae nanay-e-Hussain

Hoo gunahoon ka mareez-e-daimi
Door ho shamat ae nanay-e-Hussain

Wasita Ghaus o Raza ka door ho
Har buri khislat ae nanay-e-Hussain

Gham tumhara chain lene hi na de
Deedo ye rahat ae nanay-e-Hussain

Ab Madine mein bula kar door kar
Ye gham-e-furqat ae nanay-e-Hussain

Sabz gunbad ki baharein dekh loon
Aaye wo saat ae nanay-e-Hussain

Maut sir par aagai kar do ata
Deed ka sharbat ae nanay-e-Hussain

Apne jalwon se ata farmaiye
Naiz mein rahat ae nanay-e-Hussain

Do Baqi al-Pak mein do gazz zameen
Tum peye turbat ae nanay-e-Hussain

Az tufail-e-Ghaus-e-Azam door ho
Qabr ki wahshat ae nanay-e-Hussain

Nar-i-dozakh se bacha kar yanabi!
Deijiye jannat ae nanay-e-Hussain

Hazrat-e-Shabbir o Shabber ke tufail
Tal do aafat ae nanay-e-Hussain

Aal se As'hab se qaim rahe
Ta abad nisbat ae nanay-e-Hussain

Peer o Murshid par mere maa'n baap par
Ho sada rahmat ae nanay-e-Hussain

Har taraf "Neki ki Dawat" aam ho
Nek ho Ummat ae nanay-e-Hussain

Sunnaton ki har taraf aaye bahar
Nek ho Ummat ae nanay-e-Hussain

Khoob Madani Qafilon ki dhoom ho
Nek ho Ummat ae nanay-e-Hussain

"Madani In'amaat" ki ho rail peel
Nek ho Ummat ae nanay-e-Hussain

Nekiyoon mein dil lage har dam, bana
Aamil-e-sunnat ae nanay-e-Hussain

Main gunahoon se sada bachta rahoon
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

Jhoot se bughz o hasad se hum bachain
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

Badgumani, badnigahi se bachain
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

Deijiye qafal-e-Madina deijiye
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

Daulat-e-Ikhlas hum ko deijiye
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

Kijiye Hajj ka sharaf mujh ko ata
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

Phir tawaaf-e-Khana-e-Kaaba karoon
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

Main Madine ka musafir ab banoon
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

"Chalo Madina" ki bisharat deijiye
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

Apna gham aur chashm-e-nam deijiye
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

Ishq mein aahen bharoon, rota rahoon
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

"Ya RasulAllah unzur halana"
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

"Ya HabibAllah ismaa' qalana"
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

"Inni fi bahr-i-ham’m mughraq’"
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

"Khuz yadi sahil lana ashkalana"
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

Istiqamath deijiye Islam par
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

Dil se dunya ki hawas sab door ho
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

Naiz, qabr o hashr, mizaan har jagah
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

Aib khul jayein na mahasher mein kahin
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

Az tufail-e-char yar-i-baasfa
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

Sadaqah Shehzadon ka aaqa kijiye
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

Sab sahaba ka waseela sayida
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

Ghaus o Khwaja aur Raza ka wasita
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

Murshidi Qutb-e-Madina ke tufail
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

"Da'wat-e-Islami" walon per sada
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain

Har wali ka wasita Attar par
Kijiye rahmat ae nanay-e-Hussain