Aap Aqa'on Ke Aqa Aap Hain Shah-e-anaam
Aap Aqa'on Ke Aqa Aap Hain Shah-e-anaam
Aap aqa'on ke aqa aap hain shah-e-anaam
Ya Rasool Allah main hoon aap ka adna ghulaam
Baat ki himmat nahi pdarti adab ka hai maqam
Dil ijaazat hi nahi deta karoon kaise kalaam
Soz-e-Sarkar ae Khuda-e-Paak tu kar de ata
Ishq-e-Sarwar mein trdpta hi rahoon Moula mudaam
Ya Ilahi! Mujh ko deewana Madine ka bana
Kaash! Ho zikr-e-Madina mere lab par subah o shaam
Talkhiyon mein khush rahoon aur lazzaton se be niyaaz
Kaash! Kaabu mein rahe yeh mera nafs-e-bad-lugaam
Jo trdpte hain Madine ki judaai mein sheha!
Un ghareebon ka bhi kardo Ya Nabi kuch intizam
Ab to deedo tum Madine mein shahadat ka sharaf
Ya Nabi! Kardo yeh poori aarzo-e-natamaam
Hashr ki garmi bala ki pyaas se hoon neem jaa'n
Saqiya! Allah Kausar ka chhlakta aik jaam
Ya Ilahi! Faltu baton ki adat door ho
Kaash! Lab par koi bhi jari na ho be jaa kalaam
Har ghari sharam o haya se bas rahe neechi nazar
Pekar-e-sharam o haya ban kar rahoon aaqa mudaam
Ae Khuda-e-Mustafa Attar ko woh aankh de
Ho gham-e-mahboob mein aansoo bahaana jiska kaam