Aao Ke Zikr Husn Shah Bahr O Bar Karen
Aao Ke Zikr Husn Shah Bahr O Bar Karen
Aao ke zikr husn shah bahr o bar karen
jalwe bikher deen shab gham ki sehar karen
jo husn mere pesh nazar hai agar use
jalwe bhi dekh lein to tawaaf nazar karen
wo chahen to sadaf ko dar be-baha mile
wo chahen to khazaf ko hareef geher karen
farmaen to tuloo ho maghrib se aaftaab
chahen to ek ishare se shaq amar karen
raah nabi mein ghair pe takiya haraam hai
ae ishq aa ke be sar o saamaan safar karen
ko nain wajd mein hon janoon naghma bar ho
yaani jahan-e-hosh ko zer o zabar karen
aansoo qabool hon dar khair al anaam (SAW) par
nalay tamaaf roza khair ul bashar (SAW) karen
she'r o adab bhi aah o fighaan bhi hai un ka faez
pesh huzoor (SAW) apni mata-e-hunar karen
ab ke jo qasd tayyiba karein rehr wan-e-shauq
mazhar ko bhi zaroor shareek safar karen