Aankhon Mein Bas Gaya Hai Madina Huzoor Ka
Aankhon Mein Bas Gaya Hai Madina Huzoor Ka
Aankhon mein bas gaya hai Madina Huzoor ka
Bay-kas ka aasra hai Madina Huzoor ka
Phir ja rahe hain ahl-e-mohabbat ke qafile
Phir yaad aa raha hai Madina Huzoor ka
Taskeen-e-jaan hai rahat-e-dil wajah-e-inbisaat
Har dard ki dawa hai Madina Huzoor ka
Nabiyon mein jaise afzal o aala hain Mustafa
Shehron mein badshah hai Madina Huzoor ka
Hai rang-e-noor jis ne diya do jahan ko
Woh noor ka diya hai Madina Huzoor ka
Jab se qadam pare hain Risaalat Maab ke
Jannat bana hua hai Madina Huzoor ka
Qudsi bhi choomtay hain adab se yahan ki khaak
Qismat pe jhoomta hai Madina Huzoor ka
Har zarra zarra apni jagah mahtaab hai
Kya jagmaga raha hai Madina Huzoor ka
Ho naaz kyon na is ko Niazi naseeb par
Jis ko bhi mil gaya hai Madina Huzoor ka