Kalams Page

Aamina Bi Bi Ke Gulshan Mein Aayi Hai Taaza Bahar

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Aamina Bi Bi Ke Gulshan Mein Aayi Hai Taaza Bahar


Aamina Bi Bi ke gulshan mein aayi hai taaza bahar
Pardhte hain salli allah wasalam aaj daro deewar
Nabi ji Allah Allah Allahu la ilaha illa hu

Baara Rabi'ul Awwal ko woh aaya dur-e-yateem (SAW)
Mah-e-Nabuwwat, Mehr-e-Risalat saib-e-khalq-e-azeem
Nabi ji Allah Allah Allahu la ilaha illa hu

Aaya wali do jag ka aur Allah ka maqbool
Shaafi mahshar, saqi kosar, piara Muhammad Rasul
Nabi ji Allah Allah Allahu la ilaha illa hu

Hamad o Mahmood aur Muhammad do jag ka sardar
Jaan se piara raj dulara, rehmat ki sarkar
Nabi ji Allah Allah Allahu la ilaha illa hu

Yaseen o Taha kamli wala Quraan ki tafseer
Haazir o naazir shaahid o qasim aaya siraaj-e-muneer
Nabi ji Allah Allah Allahu la ilaha illa hu

Awwal o aakhir sab kuch jaane dekhe b'eed o qareeb
Gaib ki khabrain dene wala Allah ka woh habeeb
Nabi ji Allah Allah Allahu la ilaha illa hu

Dard mando ki sunne wala be kas ka ghamkhwaar
Dukhia dilon ka hai woh sahara haami roz-e-shumaar
Nabi ji Allah Allah Allahu la ilaha illa hu

Husan sarapa zaat ka mazhar, Allah ki burhan
Mohsin azam, rehmat-e-aalam, hai woh imaan ki jaan
Nabi ji Allah Allah Allahu la ilaha illa hu

Sab se akram, sab se ashraf sab se hai woh a'la
Maalik-e-jannat, qasim nai'mat sab se hai woh baala
Nabi ji Allah Allah Allahu la ilaha illa hu

Duur balaaon karne wala, ummat ka ghamkhwaar
Hafiz o haami, shaafi o naafi, rehmat ki sarkar
Nabi ji Allah Allah Allahu la ilaha illa hu

Syed makki shaah madina pyare nabi ji aaye
Cheen liya dil, man mohan ne chaand sa mukhra dikhaye
Nabi ji Allah Allah Allahu la ilaha illa hu

Behar salaami saare farishte aasmanon se aaye
Subah wiladat pyare nabi par salaat o salaam pohnchaye
Nabi ji Allah Allah Allahu la ilaha illa hu

Pyari si soorat hansta chehra munh se jhartay phool
Noor ka putla, chaand sa ujla, haq ka piara rasul
Nabi ji Allah Allah Allahu la ilaha illa hu

Kufr o shirk kaali ghataen hogayi saari duur
Mashriq o maghrib duniya andar ho gaya noor hi noor
Nabi ji Allah Allah Allahu la ilaha illa hu

Jibraeel aaye jhoola jhulane lori de zeshan
Sooja sooja rehmat-e-aalam do jag ke sultan
Nabi ji Allah Allah Allahu la ilaha illa hu