Kalams Page

Aam Hain Aaj Bhi Un Ke Jalwe, Har Koi Dekh Sakta Nahi Hain

Poet: Unknown | Book: Unknown | Type: Naat

Aam Hain Aaj Bhi Un Ke Jalwe, Har Koi Dekh Sakta Nahi Hain


Aam hain aaj bhi un ke jalwe, har koi dekh sakta nahi hain
Sab ki aankhon pe parda pada hai, un ke chehre pe parda nahi hai

Muhtaram yun to sare nabi hain, par kisi ka ye rutba nahi hai
Ke tajdar-e-haram ke ilawa, arsh pe koi pohcha nahi hai

Arsh par jab rukay mere aaqa, to yakaik hua hukm-e-Maula
Ke be-hijab aaye Ya Muhammad, aap se koi parda nahi hai

Aao nuqta tumhain main batao, ke kyun be nuqta hai naam Muhammad
Naam par bojh nuqte ka aaye, Haq ko ye bhi gawara nahi hai

Ishq ki aag mein jal rahe hain, kyun darata hai doozakh se hum ko
Hum ghulam-e-Muhammad hain waiz, hum ko doozakh ka khatka nahi hai

Ye aqeedat nahi to kya hai, aur ye mohabbat nahi hai to kya hai
Ke un pe hum jaan dete hain Anwar, jin ko aankhon se dekha nahi hai