Aakhri Roze Hain Dil Ghamnak Muzdar Jaan Hai
Aakhri Roze Hain Dil Ghamnak Muzdar Jaan Hai
Aakhri rozae hain dil ghamnaq muzdar jaan hai
Hasrata wa hasrata ab chal dia Ramzan hai
Aashiqan-e maah-e Ramzan ro rahe hain phoot kar
Dil bara bechain hai afsurdah rooh o jaan hai
Dard o riqqat se pichaaren kha ke rota hai koi
To koi tasveer-e gham ban kar khara hairan hai
Al-firaq ah al-firaq ae Rab ke mehmaan al-firaq!
Alvida ab chal dia tu ae maah-e Ramzan hai
Dastaan-e gham sunayein kis ko ja kar ah! Hum
Ya Rasool-Allah dekho chal dia Ramzan hai
Khoob rota hai tadapta hai gham-e Ramzan mein
Jo musalman qadr dan o aashiq-e Ramzan hai
Rote rote hichkian bandh jati hain ush-shaaq ki
Tujh mein kaisa soz ae Allah ke mehmaan hai
Teri furqat mein tere aashiq ka dil tukde hua
Aur seena chaak tere hijr mein Ramzan hai
Waqt-e iftar o sahar ki raunaqein hoon gi kahaan!
Chand din ke baad ye saara samaa sunsaan hai
Teri aamad se dil-e pazmurda khil uttha magar
Jald tadpa kar humein tu chal dia Ramzan hai
Haay sad afsos! Ramzan ki na hum ne qadr ki
Be-sabab hi baksh de Ya Rab ke tu Rehman hai
Maah-e Ramzan tujh mein jo rozae nahin rakhta koi
Wo bara mehroom hai badbakht hai nadan hai
Kar rahe hain tujh ko ro ro kar musalman alvida
Ah! Ab tu chand ghariyon ka faqat mehmaan hai
Rok sakte hi nahin haaye tujhe ab kya karein!
Sab ko rota chhod kar tu chal dia Ramzan hai
As-salam ae maah-e Ramzan tujh pe hoon laakhon salam
Hijr mein ab tera har aashiq hua bejaan hai
Chand aansoo nazr hain bas aur kuch palle nahin
Nekiyon se ah! Ye khaali mera daaman hai
Wasita Ramzan ka Ya Rab! Humein tu baksh de
Nekiyon ka apne palle kuch nahin samaan hai
Dast basta iltija hai hum se raazi ho ke ja
Bakshwana hashr mein haan tu mah-e ghufran hai
Kaash! Aate saal ho Attar ko Ramzan naseeb
Ya Nabi! Meethay Madine mein bara armaan hai