Kalams Page

Aaj Hain Har Jagah Aashiqan-e-Rasool

Poet: Ilyas Attar Qadri | Book: Wasaail-e-Bakhshish | Type: Naat

Aaj Hain Har Jagah Aashiqan-e-rasool


Aaj hain har jagah aashiqan-e-rasool
mahv-e-naat o sana aashiqan-e-rasool

jashn, meelaad ka sab rahe hain mana
bandagan-e-khuda aashiqan-e-rasool

jashn-e-meelaad se ishq hai pyaar hai
hain manate sada aashiqan-e-rasool

maah-e-meelaad mein khoob lehrayiye
ghar pe jhanda hara aashiqan-e-rasool

aamad-e-mustafa marhaba marhaba
sab lagao sada aashiqan-e-rasool

seekhne sunnatein, masjid aao chalein
laaye hain qafila aashiqan-e-rasool

yaad rakhna sabhi chhodna mat kabhi
daaman-e-mustafa aashiqan-e-rasool

rehmat-e-kibriya tum pe ho daima
hai hamari dua aashiqan-e-rasool

tum pe fazl-e-khuda, rehmat-e-mustafa
ho baroz-e-jaza aashiqan-e-rasool

kaash! duniya mein tum do bafazl-e-khuda
deen ka danka baja aashiqan-e-rasool

tum pe ho qabr mein har jagah hashr mein
saaya-e-mustafa aashiqan-e-rasool

be namazi rahein kuch na roze rakhein
unko kis ne kaha? aashiqan-e-rasool

aalamon par hansein, phabtiyaan bhi kasen
unko kis ne kaha? aashiqan-e-rasool

jo ke gaane sunen, film beeni karein
unko kis ne kaha? aashiqan-e-rasool

bad nigaahi karein, bad kalaami karein
unko kis ne kaha? aashiqan-e-rasool

khayein rizq-e-haraam, aise hain bad lagaam
unko kis ne kaha? aashiqan-e-rasool

ahad toda karein, jhoot bola karein
unko kis ne kaha? aashiqan-e-rasool

jo sataate rahein dil dukhaate rahein
unko kis ne kaha? aashiqan-e-rasool

chughliyon tahmaton, mein jo mashghool hon
unko kis ne kaha? aashiqan-e-rasool

gaaliyan jo bakein aib daryaan karein
unko kis ne kaha? aashiqan-e-rasool

daadhiyaan jo mundaayen karein gheebatein
unko kis ne kaha? aashiqan-e-rasool

kaash! Attar ka tayyaba mein khaatima
ho karo yeh dua aashiqan-e-rasool