Kalams Page

Aaj Hai Jashn-e-Wiladat Marhaba Ya Mustafa

Poet: Ilyas Attar Qadri | Book: Wasaail-e-Bakhshish | Type: Naat

Aaj Hai Jashn-e-wiladat Marhaba Ya Mustafa


Aaj hai jashn-e-wiladat marhaba ya Mustafa
Aaj aaye jaan-e-rehmat marhaba ya Mustafa

Marhaba mehr-e-risalat marhaba ya Mustafa
Marhaba maah-e-nubuwat marhaba ya Mustafa

Aamad-e-shah-e-madina marhaba sad marhaba
Marhaba aye jaan-e-rehmat marhaba ya Mustafa

Marhaba aaqa ki aamad marhaba noor-e-khuda
Ho gai kafoor zulmat marhaba ya Mustafa

Aaj duniya mein wiladat Mustafa ki ho gayi
Khoob chamki apni qismat marhaba ya Mustafa

Kaaba sajde ko jhuka but sare oondhe gir pare
Aa gayi shaitan ki shamat marhaba ya Mustafa

Aa gaye sarkar har soo barish-e-anwaar hai
Jhoomte hain abr-e-rahmat marhaba ya Mustafa

Chaar soo hain rehmaton ki kya cham cham barishain!
Aaye lamhaat-e-masarrat marhaba ya Mustafa

Marhaba ki dhoom daalo sab pukaro marhaba
Jhoom kar ahl-e-muhabbat marhaba ya Mustafa

Aaj ghar ghar roshni hai sabz parcham hain buland
Jhoomte hain ahl-e-sunnat marhaba ya Mustafa

Eid-e-milad-un-nabi to eid ki bhi eid hai
Shaadmaan hai khudmasarrat marhaba ya Mustafa

Jashn-e-milad-un-nabi ki dhoom hai chaaron taraf
Mast hain ahl-e-muhabbat marhaba ya Mustafa

Khoob gaati thin tarane daf baja kar bachiyan
Har taraf kehti thi khalqat marhaba ya Mustafa

Aa gayi utthoo sawari aamna ke laal ki
Un se mango un ki ulfat marhaba ya Mustafa

Le ke kashkol aye fakiaro aamna ke ghar chalo
Maang lo jo chaho naimat marhaba ya Mustafa

Ya Nabi! apni wiladat ki khushi mein dijiye
Khuld mein apni rafaqat marhaba ya Mustafa

Wasta tum ko wiladat ka madine mein jagah
Mujh ko deedo bahr-e-turbat marhaba ya Mustafa

De do tum Attar ko eidee mein chashm-e-ashkbar
Apna gham do apni ulfat marhaba ya Mustafa