Kalams Page

Aaj Ashk Mere Naat Sunain To Ajab Kya

Poet: Hazrat Adeeb Raipuri | Book: Unknown | Type: Naat

Aaj Ashk Mere Naat Sunain To Ajab Kya


Aaj ashk mere naat sunain to ajab kya
Sun kar woh mujhe paas bulain to ajab kya

Un par to gunah gaar ka sab haal khula hai
Is par bhi woh daaman mein chhupain to ajab kya

Munh dhaanp ke rakhna ke gunah gaar bohat hoon
Mayyat ko meri dekhne aain to ajab kya

Deedaar ke qabil to nahin chashm-e-tamanna
Lekin woh kabhi khwab mein aain to ajab kya

Na zaad-e-safar hai na koi kaam bhale hain
Phir bhi mujhe sarkaar bulain to ajab kya

Haasil jinhein aaqa ki ghulami ka sharaf hai
Thokar se woh murdon ko jilaain to ajab kya

Woh husn-e-do aalam hain Adeeb unke qadam se
Sehra mein agar phool khil aain to ajab kya

Aaj ashk mere naat sunain to ajab kya
Sun kar woh mujhe paas bulain to ajab kya