Kalams Page

Aah! Ramzan Ab Ja Raha Hai

Poet: Ilyas Attar Qadri | Book: Wasaail-e-Bakhshish | Type: Naat

Aah! Ramzan Ab Ja Raha Hai


Aah! Ramzan ab ja raha hai
Haaye tadpa ke Ramzan chala hai
Tukrre tukrre mera dil hua hai
Haaye tadpa ke Ramzan chala hai

Dekh kar chaand mein ro pada tha
Samne hijr ka gham khadda tha
Jald rukhsat ka waqt aagaya hai
Haaye tadpa ke Ramzan chala hai

Ashk aankhon se ab beh rahe hain
Hijr ka gham jo hum seh rahe hain
Woh dil-e-ghamzda jaanta hai
Haaye tadpa ke Ramzan chala hai

Gham judaai ka kaise sahon ga
Kis se gham ka fasana kahon ga
Aankh pur nam hai dil ro raha hai
Haaye tadpa ke Ramzan chala hai

Jaan fida tujh pe nanaye Hassanain
Qalb hai ghamzada aur bechain
Dil pe sadma barha ja raha hai
Haaye tadpa ke Ramzan chala hai

Kar ke taqseem baksish ki asnad
Aah! ranjeeda dil kar ke tu shaad
Sab ko rota hua chhodta hai
Haaye tadpa ke Ramzan chala hai

Tu yeh karna Khuda se sifarish
Is gunahgar ki kar de bakhshish
Tujh se Attar ki iltija hai
Haaye tadpa ke Ramzan chala hai