Aah! Har Lamha Gunah Ki Kasrat Aur Bharmaar Hai
Aah! Har Lamha Guneh Ki Kasrat Aur Bharmaar Hai
Aah! Har lamha gunah ki kasrat aur bharmaar hai
Ghalba-e-Shetaan hai aur nafs-e-bad-a’twaar hai
Mujrimoon ke waaste dozakh bhi shola-baar hai
Har guneh qasdan kiya hai uska bhi iqraar hai
Haaye! nafarmaaniyaan, badkaariyaan, bebaakiyaan
Aah! naamay mein gunoahon ki badi bharmaar hai
Chhup ke logon se gunoahon ka raha hai silsila
Tere aage ya Khuda har jurm ka izhaar hai
Zindagi ki shaam dhalti ja rahi hai haaye nafs!
Garm roz o shab gunoahon ka hi bas bazaar hai
Ya Khuda! Rehmat teri haawi hai tere qahr par
Fazl o rehmat ke sahare jee raha badkaar hai
Banda-e-badkaar hoon be had zaleel o khwaar hoon
Maghfirat farma Ilaahi! Tu bara Ghaffaar hai
Maut ke jhatkon pe jhatkay aa rahe hain al-madad
Sakht bechaini ke aalam mein ghira beemaar hai
Ab sar-e-baalin Khudara muskaraate aaiyye
Jaan balab Shaah-e-Madina taalib-e-deedaar hai
Ghusl dene ke liye ghassaal bhi ab aa chuka
Ghusl-e-mayyat ho raha hai aur kafan tayyaar hai
Ya Nabi! Paani se saara jism mera dho diya
Naama-e-a’maal ko bhi ghusl ab darkaar hai
Laad kar kandhon pe ahbaab aah! qabrastaan chale
Waaste tadfeen ke gehra gadha tayyaar hai
Qabr mein mujh ko lita kar aur mitti daal kar
Chal diye, saath hi na paas ab koi rishtedaar hai
Khawab mein bhi aisa andhera kabhi dekha na tha
Jaisa andhera hamaari qabr mein Sarkaar hai
Ya Rasool Allah! Aakar qabr roshan kijiye
Zaat beshak aap ki to manba-e-anwaar hai
Qabr mein Shaah-e-Madina aa chuke munkar-nakeer
Ho karam! Lillah banda be-kas o naachaar hai
Ya Nabi! Jannat ki khidki qabr mein khulwaaiyye
Phir to fazl-e-Rab se apni qabr bhi gulzaar hai
Tu ne duniya mein bhi aiboon ko chhupaya ya Khuda
Hashr mein bhi laaj rakh lena ke Tu Sattaar hai
Nekiyaan palle nahi Aaqa shafa’at kijiye
Aap ki nazar-e-karam hogi to bayra paar hai
Ya Nabi! Attar ko Jannat mein de apna jawaar
Waasta Siddiq ka jo tera yaar-e-ghaar hai
Kaash! ho aisi Madinay mein kabhi to haazri
Yeh khabar aaye watan mein margiya Attar hai