Kalams Page

Aah Ab Waqt-e-Rukhsat Hai Aaya

Poet: Ilyas Attar Qadri | Book: Wasaail-e-Bakhshish | Type: Naat

Aah Ab Waqt-e-Rukhsat Hai Aaya


Aah ab waqt-e-rukhsat hai aaya
Alvida aah Shah-e-Madina
Sadma-e-hijr kaisay sahoon ga
Alvida aah Shah-e-Madina

Bay qarari barri ja rahi hai
Hijr ki ab ghari a rahi hai
Dil hua jata hai para para
Alvida aah Shah-e-Madina

Kis tarah shauq se main chala tha
Dil ka ghuncha khushi se khila tha
Aah! Ab chhoot'ta hai Madina
Alvida aah Shah-e-Madina

Koo-e-janan ki rangeen fazao!
Ae mutattar muanbar hawaao!
Lo salam aakhri ab hamara
Alvida aah Shah-e-Madina

Kaash! Qismat mira saath deti
Maut bhi yawari meri karti
Jaan qadmon pe qurban karta
Alvida aah Shah-e-Madina

Soz-e-ulfat se jalta rahoon main
Ishq mein tere ghulta rahoon main
Chaahay deewana samjhe zamana
Alvida aah Shah-e-Madina

Main jahan bhi rahoon mere aaqa
Ho nazar mein Madine ka jalwa
Iltija meri maqbool farma
Alvida aah Shah-e-Madina

Kuch na husn-e-amal kar saka hoon
Nazr chand ashk main kar raha hoon
Bas yehi hai mera kul asasa
Alvida aah Shah-e-Madina

Aankh se ab hua khoon jari
Rooh par bhi hua ranj taari
Jald Attar ko phir bulana
Alvida aah Shah-e-Madina