Aagaye Hain Mustafa ﷺ, Salli 'Ala, Khush Aamdeed
Aagaye Hain Mustafa ﷺ, Salli 'Ala, Khush Aamdeed
Aagaye hain Mustafa ﷺ, Salli 'ala, khush aamdeed
Hogaye jalwa numa, Salli 'ala, khush aamdeed
Sayyid-o-sardar-e-ma, Salli 'ala, khush aamdeed
Raazdaar-e-Kibriya, Salli 'ala, khush aamdeed
Maalik-o-mukhtaar-e-ma, Salli 'ala, khush aamdeed
Naib-e-Rabb-ul-Ala, Salli 'ala, khush aamdeed
Gumrahi se lo bacha aur seedhay raste par chala
Ae hamare rehnuma, Salli 'ala, khush aamdeed
Muskurati, phool barsaati aur ithlaati hui
Gungunaati hai saba, Salli 'ala, khush aamdeed
Bulbulein hain naghma khwaan aur parh rahi hain qumriyaan
Na'at-e-paak-e-Mustafa ﷺ, Salli 'ala, khush aamdeed
Sabz parcham chaar soo lehraye hain, jashn hai
Aamad-e-Mahboob ka, Salli 'ala, khush aamdeed
Ghamzadon gham khao mat, ae bay-kaso ghabrao mat
Aagaye mushkil-kusha, Salli 'ala, khush aamdeed
Jhoom jao bay-kaso imdaad karne aagaye
Khalq ke haajat rawa, Salli 'ala, khush aamdeed
Bay-nawao aao tum, aao gadao aao tum
Sadqa le lo Noor ka, Salli 'ala, khush aamdeed
Aamina ke ghar pe chalte hain sab aao mil ke saath
Aur lagate hain sada, Salli 'ala, khush aamdeed
Bay-kason ke daad-ras, ae khalq ke fariyaad-ras
Door kar ranj-o-balaa, Salli 'ala, khush aamdeed
Chashm-e-rahmat kijiye, apni muhabbat dijiye
Dar pe haazir hai gadaa, Salli 'ala, khush aamdeed
Apna gham de dijiye, aur chashm-e-nam de dijiye
Dar pe haazir hai gadaa, Salli 'ala, khush aamdeed
Dard-e-isyaan ki dawa do, tum shifa do, tum shifa
Dar pe haazir hai gadaa, Salli 'ala, khush aamdeed
Gumbad-e-Khazra ke jalwon se yeh dil aabaad ho
Dar pe haazir hai gadaa, Salli 'ala, khush aamdeed
Aap ke qadmon mein Aaqa ﷺ, khaatima bil khair ho
Dar pe haazir hai gadaa, Salli 'ala, khush aamdeed
Ab Baqee' e Paak mein do gaz zameen de dijiye
Dar pe haazir hai gadaa, Salli 'ala, khush aamdeed
Jhoom kar haan jhoom kar, Attar lab ko choom kar
Mast ho kar do sada, Salli 'ala, khush aamdeed