Aabaad Damadam Aadam Ki Sheh Rag Mein Ali Tan Tan Mein Ali
Aabaad Damadam Aadam Ki Sheh Rag Mein Ali Tan Tan Mein Ali
Aabaad damadam aadam ki sheh rag mein Ali tan tan mein Ali
Lafzon mein Ali nabzon mein Ali saanson mein Ali dhadkan mein Ali
Ashkon mein Ali, aahon mein Ali, palkon mein Ali, aakhein mein Ali
Darya mein Ali, maujon mein Ali, badal mein Ali, saawan mein Ali
Sarmast pawan rimjhim mein Ali, bijli mein Ali, kharman mein Ali
Jharnon ki jhapakti aankhon mein, taaron se bhare aangan mein Ali
Shehron ki chahakti shoreish mein, chup chaap dhadakte ban mein Ali
Ehsas ki haryali mein Ali, iman ke hare gulshan mein Ali
Pataal ki teh mein takht nasheen, aflak bakaf bhagwan mein Ali
Yasin ki noon gawahi de, Taaha ke sajal darshan mein Ali
Wal-lail ki qadr ka sadr samajh, wal-asr ke kal kundan mein Ali
Kausar ke husn ka sarchashma, tooba ke jal joban mein Ali
Qirtaas o qalam ka rakhwala, taqdeer ke har bandhan mein Ali
Lauh-e-mahfooz mein wajah Allah, tauheed numa darpan mein Ali
Aflak talak masnad aara be maskan ke maskan mein Ali
Kaabe mein Ali qible mein Ali maulad mein Ali madfan mein Ali
Masoom gawahi Isa ki Musa ke sakhanwar fan mein Ali
Yusuf Yaqub ka dard nagar Ayyub ke shubh shivan mein Ali
Asrar-e-shab Asra ki qasam ayaat ke ujle pan mein Ali
Nauroze ki zo mein jalwanuma aur chodhween raat ke chand mein Ali
Folaad sifat kaam aaya hai Islam ki har uljhan mein Ali
Khyber mein Ali khandaq mein Ali aur Badr o Uhud ke ran mein Ali
Me'raaj ki raat ki baat karo, har baat ki har uljhan mein Ali
Qab-e-qosain ke narm haseen resham se bani chilman mein Ali
Har moulai ka ann daata, har khaak nasheen ke man mein Ali
Porab mein Ali, pichcham mein Ali, utar mein Ali dukhan mein Ali
Quraan utha kar kehta hoon, Bismillah ke daaman mein Ali
Haider se adawat mat rakhna, har gaam pe thokar khao ge
Pachtawo ge, ghabrawo ge, bardosh-e-hawa jal jao ge