Kalams Page

Aaah! Madani Qafila Ab Ja Raha Hai Laut Kar

Poet: Ilyas Attar Qadri | Book: Wasaail-e-Bakhshish | Type: Naat

Aaah! Madani Qafila Ab Ja Raha Hai Laut Kar


Aaah! Madani qafila ab ja raha hai laut kar
Koi dil thaame khada hai koi hai bachasm-e-tar

Sunnat-o ki tarbiyat ke qafilon ke qadr dan
Jab palat’tay hain gharon ko rote hain woh phoot kar

Kis qadr khush thay nikal kar chale gaye thay ghar se jab
Ab udasi chha rahi hai haaye! Apne qalb par

Fikr thi ghar ki na koi fikr kaarobaar ki
Lutf khoob aata tha hum ko masjidon mein baith kar

Jate hi duniya ke jhagray phir gale parh jaai’n ge
Kya karein nachar hain qaabu nahi halaat par

Bajamaat sab namazain aur tahajjud ke maze
Itni aasaani se phir mil jaae’n ge kya ja ke ghar?

Ya Khuda! Nikloon mein madani qafilon ke saath kaash!
Sunnat-o ki tarbiyat ke waaste phir jald tar!!

Haaye! Saara waqt mera ghaflaton mein kat gaya
Aaah! Kab ho ga muyassar phir mubarak yeh safar

Madani mahol aur madani qafile walon ki kuch
Bhi na ki hai qadr haaye! Hoon mein nadan kis qadr

Masjidon ka kuch adab haaye! Na mujh se ho saka
Az tafael-e-Mustafa farma ilahi dar guzar

Aah! Shaitaan har ghari har waqt ghalib hi raha
Aadat-e-‘isyaan ne rakh di tod kar haaye! Kamar

Khoob khidmat sunnat-on ki hum sada karte rahein
Madani mahol ae Khuda hum se na chhoote umar bhar

Is ilaqay wale saaray bhaiyon ka shukriya
Saath jo dete rahe hain qafile ka sar-e-basar

Sunnat-on ki tarbiyat ke waaste nikla tha mein
Haaye par sota raha ghaflat ki chadar taan kar

Ya Rasool-Allah apne dar pe ab bulwaiye
Ho naseeb aaqa hamein meethay Madeene ka safar

Hai dua ‘Attar ki: “Is ki ho hatmi maghfirat”
Qafilon mein umar bhar karta rahe jo bhi safar